Saturday, 31 August 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 2


Aglay din rimsha nay pc on kia salman ko online deikh kr mcg kr diya
Rimsha: tm phr online ho kia krty ho sara din?namaz parhi?

“salman k sab frnds may rimsha pehli frnd thi jo usay aksar namaz ki nasihat zaror krti thi”

Salman: han parhon ga kuch dair may and  plz yar aj jhagra nahi krna  mood acha ha kharab nahi krna chahta
Rimsha: meray pas bhi itna faltu time nahi hota k tm say panga krti rehon
salman: hmm gud
salman k mood ko deikh kr rimsha k dill may mohabat ka sawal jaga
Rimsha: aj aik bat to btao tm love par bleave krty ho?
Salman:no I have no time and I don’t know what is love? kisi aik larki k pichay pagal hona kia fazool sawal  kr ri ho
Rimsha: itna fazool bhi nahi . acha ye rabia kon ha?
Salman: aik to tm meri har frnd ko mujh say pehly apni frnd bana leti or phr mujh hi say sawal krti ho k wo kon? Ye kon? Had krti ho yar tm
Rimsha: tm darty kiun ho wo khud mujh say frndship krti hain may nahi krti ok
salman: ji bilkul esi liye wo mujh say pochti hain k ye rimsha kon ha? Ufff
Rimsha:jab fazool kam kro gy to fazool sawal bhi hongy
Salman: tm bat ko aik hi point par kiun lay ati ho what’s ur problem yar?
Rimsha: koi problem nahi ha bye
Rimsha or salman ki guftugu ka ekhtatam hamesha nok jhonk par hota

lakin rimsha ki musalsal mudakhlat (us larki se bat na kro, tm us say kiun milay ,tmhry pas or kitni larkiun k no hain )ye sari batain usay ahsaas dila gai k wo us k liye frndship se kuch ziada sochti ha. Salman esi waja se aksar usay tang krta rahta tha rimsha aksar salman ko phone krti thi usay sirf yahi pta lagana hota tha k wo kahin kisi larki k sath date pay to nahi salman usay jalany k liye aksar jhoot bhi bol deta tha or jab wo ghusa hoti to usay ziada dair naraz bhi nahi rahnay deta tha kiun k salman baqi larkiun se ziada importance deta  kiun k wo janta tha rimsha dosri larkiun se diffrnt ha.

 salman: lagta ha phr narz ho kar chali gai ho rimsha tmhy pta ha k may tmhy naraz nahi krna chahta lakin tm naraz honay ka ye shoq zaror pora krti ho yar ye sab girls meri just frnd hain but u r my best frnd or tm hr wakt naraz reho ye acha nahi lagta mujhy .

Offline honay k bad rimsha distrb ho gai or dil may sawalon ka boj liye seedha maryum k ghar jati ha.maryum k pochnay par us ka wohi purana rona jis par maryum muskuraty huwy “acha to ab tm preshani may ghar say bhaga kro gi “
“I m serious” rimsha nay us ki traf deikhty huwy kaha

jawabban maryum ko usay samjhana para “deikho tm meri bht achi frnd ho or mera farz banta ha k may tmhy sahi galat ki pahchan krwaon lakin tm akhir samjhti kiun nahi ho kisi anjan larkay ko itna serious lena pagal pann ha usay sirf frnd samjho , tm us k baray may jitna janti ho tmhy sirf usi par ektafa krna chahiye itna agay na jao k wapas ana mushkil ho jaye or tm haqiqat se jitna bhi door bhag lo haqiqat badal nahi jaye gi or haqiqat ye ha k salman kbhi tmhy nahi samjh paye ga or na kbhi  usay tmhri feelings ka ahsaas hoga,  May janti hon tmhy or takleef hogi lakin tmhri dost hon esliye tmhy jhooti tassali bhi nahi dongi.

Rimsha ankhon may nami latay huwy” lakin may phr bhi us say piyar krti hon”.

---------------------


Thursday, 29 August 2013

Tum hum ko yad rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 1


“Mohabbat ” aik aisay ahsaas ka naam ha jo insaan k dil may bht si omeedain jagata ha or bht say khuab bhi , duniya ki har cheez khobsurat lagnay lagti hay, kisi anjabi ka apna sa lagna or ye ahsaas mohabat ka hota ha kisi ko chahay jana ka ahsas.Or mohabat kisi insaan say kahin bhi ho sakti ha es k liye koi jaga ya wakt muqarrar nahi. lakin kbhi kbhi yahi ahsaas takleef ka sabab ban  jata ha or insaan haqiqat se dor bht door chala jata ha kiun k jab chahatain adhori rah jain to haqiqat bhi chubnay lagti ha or  ye ahsaas kisi kisi ko bht bahadur or kisi ko bht buzdil bna deta ha koi apna sab kuch har kr bhi jeet mahsos krta ha or koi takleefon k siwa kuch hasil nahi kr pata. ye kahani bhi aik aisi larki ki ha jis nay mohabat may takleefon ko apni taqdeer bnaya.


Rimsha: salam kia kar rehe ho?
Salaman: nothing frnds say chat kar raha hon n u?
Rimsha: saf kiun nahi kahty k larkiun se chat kr rehe ho, es k elwa koi or kam nahi jab deikho fazool kamon may lagy rahty ho
Salman: han kar raha hon yar ab tm mary dad ki trah advise na kro or na mera demagh kharab kro plz
Rimsha ghusay say “ab may tmhra demagh kharab karti hon ?”
Salman ghusay may “ han karti ho”
Rimsha : ok ALLAH HAFIZ

 Rimsha bht sensitive or sorat par seerat ko tarji denay wali larki thi or usay mohabat salman jaisy flirty insaan say ho gai or wo bhi facebook par,jisay us nay kbhi deikha nahi tha or na kbhi usay deikhnay ki chahat thi or us ki salman k liye musalsal baychaini  us ko mahabaton ki gahrai may leti chali  gai. Dono bht achay dost thy ahista ahista rimsha us say attach hoti chali gai.

Rimsha apnay ap say batain krty “pta nahi khud ko samjhta kia ha ab may us ka demagh kharab krti hon”
Ghusay say kushan utha kar phainkti ha ayn wakt par kushan maryum ko ja lagta ha
Maryum tanz krty huwy  madam welcome krnay ka acha style ha tmhra
Rimsha apnay ap ko normal krty huwy oh tm kab ayi  
Maryum rimsha ko tang krty huwy tm ab mujh say aisy sawal kro gi meray anay par, kia huwa salman se larai hoi ha kia phir say

“Rimsha apni sari feeling apni friend maryum k sath share krti thi maryum  us ki bachpan ki friend thi or maryum rimsha ki family may bhi aik family member ki hasiyat rakhti thi.. maryum rimsha ko bht samjhati thi k moahabt par bleave krna nadani k siwa kuch nahi ha specially Facebook par ,but rimsha samjhnay k liye tayar nahi thi us ki aik nahi sunti thi rimsha apny  2 bhaiyon ki aklei princess or apnay parents ki bht laddli thi rimsha ki har wish us k kahnay se pahlay pori ki jati. Lakin us k nakhray salman k samnay koi maiynee nahi rakhty thy or wo esi waja se aksar distrb rahti thi. Wo salman se bhi utni hi mohabat chahti thi jitni us k ghar walay usay karty.”

Salman:kia ho gaya ha yar mazak kar raha tha tm say tm ho k itni jaldi naraz ho jati ho ufffff itna ghusa
Salman rimsha ko mcg kiye ja raha tha but wo offline ho chuki thi.



“Salman Karachi k mashhor tareen businessman ka eklota beta tha life ko sirf enjoy krnay wala us k parents bhi chahty  thy k wo kbhi serious ho to apny father ka business sanbhal  lay lakin usay koi intrest nahi tha us ka khayal tha k shaadi se pehly ki life ko khoob enjoy krna chahiye wakt kbhi loat kr nahi ata or wo koi bhi lamha zaya nahi krna chahta tha or aisy may us nay kitno ko heart kia wo khud bhi nahi janta tha.”

-----------------