Wednesday 4 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 5


Khushi jab had se barh jaye or bina kisi omeed k hasil ho to aksar haqiqat bhi khuab si lagti ha, aisa hi kuch hal rimsha ka tha jo khushi se pagal maryum ko salman k bary may btanay k liye taizi se ja ri thi, jo bahir garhi k pas us ka intizar kar rahi thi.

Rimsha apni hi dhunn may maryum kahti hoi chali a ri thi maryum ki nazar jab us pay pari to us ko itna khush deikh k hairan honay lagi or kahnay lagi “esay kia mil gaya”.

 Lakin agalay hi lamhay maryum ki ankhain phati ki phati rah gain kiun k rimsha ko road cross krty huwy side par deikhnay ka khayal nahi aya or taiz raftar ati hoi aik car se us ka accident ho gaya.Maryum cheikhty huwy “ rimsha sanbhal kr “, wo taizi se rimsha kahti hoi us ki traf lapki lakin usay bacha nahi saki. Or rimsha apnay zakhon ki taab na latay huwy bayhosh ho gai.

Maryum rimsha ko hospital to lay ayi lakin usay us hadsay par abhi tak yaqeen nahi ho raha tha wo bht ghabrai hoi thi or us k ghar walon ko jab phone krnay k liye jana para to wo or bhi khofzada ho gai , kiun k maryum hi rimsha ko zaberdasti apny sath lay kar ayi thi ye bat us ko bht khal ri thi or ab rimsha k es halat ka zimadar wo khud ko samjhnay  lagi.

Jab rimsha k ghar walon ko pta chala to un par jaisy pahar toot gaya ho, kuch hi lamhon may us k sab ghar walay hospital may thy lakin rimsha k maa ki halat biggrti chali gai. Sab k pas duaon k elwa koi rasta nahi tha or sab k labon par rimsha ki zindagi ki dua k siwa kuch na tha. Maryum rimsha ki maa ko sanbhalty huwy “ anti plz sanbhalain khud ko usay kuch nahi hoga”. 

Kafi dair k bad jab doctors k operation thater se anay par rimsha k  ghar walay us ki traf lapkay, or un k pochnay par doctors nay preshani may kaha “she is all right but……” , adhora sa jumla sab k dil ki dharkannon ko taiz krta chala gaya, hr aik ko ajeeb si ghabrahat honay lagi or sab ki sawaliya nazron ko deikhty huwy doctors nay preshani se” ap ki beti thk ha lakin ab wo shaid kbhi  apnay paoun par nahi chal na paye, accident shadeed honay ki waja se wo apni ye silahiyat kho chuki hay…..

Rimsha k ghar walon par jaisy qayamat toot gai ho. Maryum nay rimsha k baray may jab aisa suna to shocked ho gai, or rimsha ki maa ko sanbhalny lagi jin ki halat pehly se bhi ziada kharab ho rahi thi , or apni beti k sadmay ki waja say wo bar bar bayhosh honay lagi.

Un k hosh may anay k bad sab nay aik dosray ko jhooti tassalli dena shuro kr di or apnay chahron par zaberdasti ki taskeen mussallat kar k aik dosry ko hosla diya.Lakin ab mushkil thi rimsha ko ye sab btanay ki.Har aik janta tha k rimsha kis trah react kre gi…

lakin rimsha k hosh may anay k bad jab usay btaya gaya to wohi huwa jis ka sab ko dar tha… wo aik taweel khamoshi ka shikar ho gai, na ro pai or na kuch kah pai. Sab ko us ki halat ka andaza ho gaya tha. Lakin koi bhi us k liye kuch nahi kar saka.

Wakt to guzrta raha lakin rimsha ab pehly jaisi nahi rahi or na us may koi tabdeeli ayi, khamosh narzrain door tak deikhti rahti lakin kisi se bhi kuch kah na pati, na labon pay koi shikwa raha or na dill may koi chahat rahi....lakin ab kisi bhi cheez ko bht dair tak deikhna or phr deikhty deikhty usi may gum ho jana us ki addat ban gai. Salman ko kho denay ka ahsaas har pal dill may khalta raha...

Aik din maryum nay rimsha say pocha tm to khamosh ho gai ho lakin usay kia kahon jo rat din tmhri rah deikhta ha, roz phone kr k tmhra pochta ha…maryum rimsha k jawab say shocked ho jati ha jab wo bht puresrar andaz may kahti ha” kah do k rimsha mar chuki ha”.

Es say pehly k maryum usay kuch bolti rimsha na hath jor liye or bheegti ankhon se kahnay lagi”kia tm chahti ho k koi mujhy tars ki nigah say deikhay, wo shaid mohabat ka dawa aj bhi kar day lakin meri zindagi to ab meray liye bojh  ha or may apna bojh khud uthana chahti hon”. Maryum ki ankhain bhi num honay lagi us k pas jawab hi nahi tha…

--------------




No comments:

Post a Comment