Saturday, 14 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna 

Episode No 8




Maria rimsha or maryum ko apnay ghar lay kr ati ha or rimsha ko apny bedroom may lay jati ha ta k wo kuch dair aram kr k relax ho jaye. Maria muskuraty huwy”ap log aram krain may ap logon k liye khana ka intizam krti hon wsy bhi ap logon ki train meri waja se miss hoi ha I m really sorry”.

Maryum muskuraty huwy “it’s ok”. Maria k janay k bad maryum fresh honay jati ha, rimsha nay khud ko normal feel kia or ankhain bnd kr li.

Kuch hi lamhon bad achanak se koi zor zor se rimsha kahta huwa room may enter hota ha jis par rimsha chonk jati ha or aik dam se uth kr dubatta sanbhalti lagi.

Aik decent sa larka jo apnay cell phone may magan “rimsha kahan ho yar mujhy meeting k liye dair ho jaye gi khana laga do”, achanak se jab us ki nazr rimsha pay parti ha to wo bhi aik dam se shocked ho kr “I m sorry ap kon, yahan meray room may kaisy?”

Rimsha abhi yahi soch ri thi k us nay us ka naam kiun liya, kia wo usay janta ha, es say pehly k rimsha  koi jawab deti maria room may enter hoty huwy”salman ye guest hain actually in ka meri garhi se chota sa accident ho gaya to in ki halat mujhy thk ni lagi to may in ko ghr lay ayi". 

Maryum  or rimsha ko bataty huwy “he is my husband salman”.Maryum bhi ye sab deikh kar preshan ho gai.

Salman ka naam sun kr to rimsha jaisay apnay hawas kho baithi ,maryum bhi kuch preshan si ho gai thi. Salman confuse ho kr “ok relax I m sorry mujhy pta nahi tha , ok rimsha tm khana laga do mujhy urgently jana ha”. Wo maria ko rimsha kah raha tha or ye bat maryum or rimsha ko bht ajeeb lagi or preshan kar gai.

Salman k janay k bad maryum maria se bht hairan ho kr “ap nay to apna naam maria btaya tha???”.

Dono ki sawaliya nazron ka maria k pas koi jawab nahi tha, maria k chahray par udasi si cha gai or kahnay lagi”salman  kisi rimsha naam ki larki se bht mohabat krty hain ye bat unhonay mujhy shaadi ki pehli rat hi bta di thi. Wo  larki to kisi car accident may mar chuki thi, lakin us ko har pal apny dill may zinda rakhnay k liye mujhy meri ejazar say rimsha kahna shuro kr diya or may nay es bat par koi atraaz nahi kia ,balkay un ki mohabat ka ahtram kia, bas kash itni mohabat meray naam ki hoti, she is so lucky zaror us may kuch tha”.


Rimsha jaisay jaisay sunti gai us ki ghabrahat barhti gai. Maria anso saf krty huwy or jhooti muskurahat k sath” wsy ap logon nay abhi tak apna intro nahi krwaya siwaye es k ap log Karachi ja rehe thy”.

Maryum  bhi shocked thi or jab naam pochay gaye to dono ghabra gain or aik dam maryum nay rimsha ki traf deikhty huwy rimsha ka naam saira btaya or apna hiba bta diya.

Maria jaty huwy "ok ap log bilkul preshan na hon may ap logon ko sham k khanay k bad sham ki train k liye station chor dongi". Maryum  nay thanks kia jis par maria nay welcome kia or chali gai.

Maryum rimsha ki traf deikh kr kuch bhi nahi kah pai, lakin rimsha ki baychaini ko samjh gai. Rimsha bhi shocked thi wo believe hi nahi kar pa rahi thi k wo salman ko deikh chuki ha or wo aj bhi us k naam k sath zindagi guzaar raha ha, sach may us nay rimsha ko kbhi marnay hi nahi diya tha… salman k liye  rimsha ki baychaini or bhi barhti chali gai.

Ab rimsha khud ko maria ki jaga par deikhti or sochti k agr us ka accident na huwa hota to wo aj salman ki zindagi may us ki jeevan sathi hoti. Wo un dono ko deikh kar apni hi baybasi par anso bahanay lagi, lakin ye bhi haqiqat thi jisay us nay har hal may qabool krna tha. 


Rimsha salman ki nazron se bach kr bar bar usay deikhti rahi………or jab ankhain num hoti to ankhain chura leti….




No comments:

Post a Comment