Monday 2 September 2013

Tum Hum Ko Yad rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 4



Agli subha jab salman ki ankh khuli to us k room k darwazay par bar bar nock kia ja raha tha, us nay  ankhain masalty huwy darwaza khula to darwazay par salman ki mama thi, jo nasihatann kahnay lagi
“kia bat ha beta rat bhi tm kafi ghusay may ghar wapas aye or hm sab tmhy wish krnay lagy thy lakin tm ghusay may apny kamray may chalay gaye. Chalo ab nichay aao tmhray papa nay chota sa arranment kia ha tmhry liye jo hm teeno mil kr celebrate krain gy.”

Salman nay han may sir hilaty huwy kaha “ok mama ap chalo may fresh ho k ata hon”.

salman ki maa muskuraty huwy chali jati ha lakin ab salman k demagh may na sirf wo thapar gunjta ha balkay rimsha ka khayal bhi ata ha jis par us nay thapar ka sara ghusa nikala tha or phr salman nay foran rimsha ko phone kia lakin us ka no musalsal band ja raha tha….salman ki preshani barhi to us nay foran laptop on kia or facebook par rimsha k mcgs deikhay to or bhi preshan ho gaya.

Apna sir pakarty huwy “ye may nay kia kia ohh god, ab may kia kron “ or phr rimsha ko mcg pay mcg leave kiye 
Salman: I m sorry rimsha mujh se galti hoi gai yar really sorry…plz aik bar bat kr lo.

Salman fresh ho kar chala gaya or apna birthday apni family k sath celebrate kia lakin rimsha k liye usay musalsal guilty feel ho rahi thi. Wo usay naraz kar k khud bhi baychain ho gaya, bar bar usi ka khayal or us ka rat bhar intizar krna or phr badlay may us k sath misbehave ye sab soch kr wo highly distrb ho gaya.

Us nay kai bar rimsha ko phone kia lakin rimsha ka no musalsal off raha. Bad may us nay maryum ko bhi phone kia or usay bhi mcg kiye but dono ka koi jawab nahi aya.

Din guzarty gaye lakin rimsha say us ki koi bat na ho saki or na hi us ka koi mcg aya…salman ko rimsha ki ghair mujoodgi na gawar lagnay lagi or wo us ki kami ko shiddat say mahsoos krnay laga. Rat gaye tak frnds may rahna chit chat krna lakin phr bhi us k dil say rimsha ki yad na gai ,usay laga k ab rimsha us say kbhi bat nahi kre gi, ye soch kr us ka or bhi baychain ho jana ye sab salman ko ahsaas dila gaya k wo bhi rimsha say piyar krta ha...

Koi din aisa na guzra jab us nay rimsha ko phone na kia ho lakin us k jawab na anay par trah trah k khayal “wo thk to hogi ,kahin us nay apnay sath…pagal si ha kuch bhi kr sakti ha, jab pata tha to danta hi kiun tha, lakin ab tak ayi kiun nahi "…..

Udhar rimsha ki musalsal khamoshi us k ghar walon ko preshan kr ri thi. Aik din maryum us k ghar ayi or zabrdasti us k ghar walon ki ejazat say shoping k  bahanay usay bahir lay gai. Rastay may hi maryum k pas salman ka bar bar phone anay laga, wo bhi maryum ka no on deikh kr musalsal krnay laga.

Market may enter hoty huwy maryum nay rimsha ko janay k liye bola” tm chalo may garhi se apna baig lay kr ati hon” rimsha nay han may sir hila diya or chaili gai.

Maryum ny salman ka phone attend kia or ghusay se boli “what’s ur problem ab kia chahty ho kuch or kahna baqi rah gaya ha kia.”

Salman nay bht preshani may bola “sirf aik bar rimsha say bat krwa do plz wada krta hon agr wo mujh se bat nahi krna chahy gi to dobara kbhi nahi distrb kron ga”.

Maryum us k esrar par man to gai lakin thori distrb hoi or rimsha k pas gai phone usay dety huwy boli "salman ka phone ha tm say bat krna chahta ha", rimsha nay inkar kia to maryum nay ghusay se bola “usay apni galti ki mafi to mangni hi chahiye bat kro us say".

Rimsha nay jab salman se bat ki to salman nay us ki koi bhi bat sunay baghair jo dill may aya bolta chala gaya “rimsha I m really sorry mujhy tmhray sath aisa nahi krna chahiye tha, tmhry  janay k bad ahsaas huwa k may tmhray baghair nahi rah sakta, koi din aisa nahi guzra jis may tmhri kami mahsoos na ki ho, aik pal ko  bhi chain ni mila, I love u rimsha, bht heart kia ha may nay tmhy, I m really sorry ...tm say door huwa to khud bhi jan gaya hon k tm hemasha meray liye itna importat kiun rahi ho.

Rimsha ki ankhain anso se num honay lagi or dil ki dharkan nay jaisy phr se dharakna shuro kr diya ho. usay samjh hi nahi a raha tha k kia bolay, salman ko us say piyar ha …jisay wo sirf sapna hi samjhti thi, aj wo izhare mohabat kar raha ha…usay sab khuab sa laga…
Us ki khamoshi par salman nay jawab diya” may tmhray jawab ka intizar kr raha hon rimsha”.

Rimsha roty huwy or bachon walay andaz may boli” may bhi krti hon tm say”.
Salman us k andaz par muskuraya or bola “anso saf kro apnay kiun ab mera khud se wada ha kuch bhi ho jaye tmhri ankhain kbhi num nahi honay donga”. Rimsha ka chahra khushi say khil utha.
Dono nay aik dosray k wajood ko bht qareeb say mahsoos kia, jaisy aik dosray k samnay hon.

Kbhi Na Hathon Say Hath Choote KhayaL Rakhna
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna 
Bachaa K Rakhnaa  Mohabbat Ko Saazishon Say
Wafa Ki Dollat Jafa Na Lootay KhayaL Rakhna.....

-----------------

                                                


                                       
                                  

No comments:

Post a Comment