Tum hum ko yad rakhna
Episode No 9
Maryum dil may sawal pay sawal sochnay lagi, k salman ka es trah rimsha k samnay a jana or ab rimsha kaisy react kre gi? Or wo jo us say kahti rahi k salman say us ka samna nahi hoga , hosla deti rahi ab usay kia jawab day gi? Us ki barhti baychaini ya takleef ko kaisay khatm kre gi…
Maryum abhi apnay hi sawalon may gum thi k maria room may ayi or boli, “ap nay apni family ko phone kr diya wo log ap logon k liye preshan ho rehe hongay”. Tab maryum nay sir hila kr han may jawab day diya or kaha “I think hm logon ko ab chalna chahiye” wo halat ka samna karnay se saf bachna chahti thi or salman ki wapsi se pehly wahan say rimsha ko lay kar jana chahti thi, but aisa na huwa, maria nay sham k khanay k liye na sirf roka balkay un dono ki pori zimadari lay li.
Maria nay rimsha ki traf deikha jo bilkul chup si gum sum baithi thi, “ap dono mujhy kuch preshan lagti hain everything is ok?” Maryum chahray k tasuraat chupatay huwy “ nahi aisa kuch nahi ha bas zara train mis ho gai or saira apni mama ko bht mis kr ri ha, un say dor rahnay ki addat nahi ha na es liye…”
Maria or maryum apas may batain hi kr rehe thy k rimsha achanak se sawal krti ha “ kia ap ko kbhi us larki se takleef nahi ponchi jis say salman mohabbat krty thy?”
Es sawal nay maria k chahray par udasi tari kar di or salman ki tasveer deikhtay huwy “ unhonay apni pori zindagi meray naam ki thi , badlay may sirf mujhy apna naam qurban krna tha, agr ye bhi na karti to mera piyar us k liye hemasha aik uljhan bna rahta, may bhi salman say piyar krti hon”.
Rimsha ki ankhon may anso a gaye or excuse kia “ I m sorry may nay ap ko heart kia”.
Maria apnay anso saf krtay huwy” no it’s ok , mujhy koi dukh nahi wasay bhi rimsha wo larki thi jis nay salman ko badal kar mujhy lotaya warna salman ki zindagi aik khail ban kr rah gai thi, us ka flirty behave mujhy bht takleef deta tha , but may kbhi usay badal hi nahi pai".
Maria k janay k bad maryum nay rimsha ki traf deikha or nazrain jhuka len. Wo jan gai thi k ab rimsha us say sawalaat kre gi jis ka us k pas koi jawab nahi hoga.
Rimsha apnay hi saharay say us ki traf chali or kaha “mujh say nazrain na churao maryum meri takleef ko mahsoos kro, Tm hi thi jis nay kaha tha k kuch nahi hoga , suno bht kuch ho gaya ha , zindagi boj to pehlay hi ho gai thi lakin ab zindagi say nafrat ho gai”. Hm usay khonay ka dukh krain ya apni waja say kisi or ko honay wali takleefon ka andaza…us(Maria) nay kaha nahi lakin us k dil may kahin na kahin meray liye nafrat bhi hogi…
Tab maryum nay usay sanbhala or us k chahray k anso saf krty huwy” aik bat yad rakhna wo tmhy aj bhi nahi bhoola , lakin ye bhi sach ha koi or bhi tmhri trah usay chahta ha or wahi us ki life may shamil ha , tm ab kahin nahi ho or kia tm chaho gi k jo khushi tmhay na mil saki wo kisi or say bhi chin jaye?”
Rimsha nay anso bhari nighahon say usay deikha or apni baybasi par chalakty anso ko rok na saki or na hi kuch kah pai.
Maryum nay rimsha ki ankhon may ankhain dal kar “ tmhri awaz bhi nahi bhoola hoga wo, jab tak hm yahan say chalay nahi jaty tab tak tm…..”
Rimsha samjh gai thi or esi liye pori bat sunay baghair maryum k galay lag gai or bht say shikway honay par bhi kuch nahi kah pai...
No comments:
Post a Comment