Tuesday 24 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Last Episode





 Sham may salman jab ghar wapas aya to maryum or rimsha ko paya jo ab saira or hiba k naam se wahan thin. Lakin ab rimsha usay deikhti rahti kahin usay deikhnay ka ye pal phr aye na aye. Usay abhi tak yaqeen nahi tha k wo salman ko deikh chuki ha. Us ki baytaab nazrain salman ko bhi baychain kr gain.

Salman nay rimsha ko musalsal khamosh deikh kar akhir poch hi liya “ap Karachi may kahan hoti hain”? Rimsha ko salman say kisi sawal ki omeed na thi es liye achanak se pochay jany par ghabra gai, es say pehly kuch bolti maryum nay jhoot bol kar us ki traf say jawab day diya.

Lakin ab rimsha dar gai thi kahin usay kuch pta na chal jaye, wo kuch or na poch lay.

Kuch lamhay bad maria khanay k table par sab ko bulati ha or sab sath khana khaty hain, lakin salman nay rimsha ki khamoshi par notice kia, or phr sawal kar  liya “ap bolti nahi hain”? Again maryum nay hi jawab diya “ye bht kam bolti ha”.

Maria bhi muskuraty huwy “ mujh say se batain ki thin but I think salman k samnay hesitate ho ri ha”. Khanay k bad jab janay ka wakt anay laga rimsha ki baychaini barhti gai. Salman nay garhi start ki or poray rastay rimsha apnay anso chupati rahi, us ki baybasi arooj par thi.

Station par ponchtay hi salman ticket lenay gaya to rimsha usay deikhnay lagi, kuch lamhay bad salman wapas aya or sab train ka intizar krnay lagay. Lakin ab rimsha ko train ka intizar nahi tha wo bar bar salman ki traf deikhti jo ab salman ko bhi feel ho gaya tha . Us ka aisay deikhna salman k dil may sawal paida krta chala gaya.

Salman nay phir say rimsha say bat krnay ki koshish ki es say pehly kuch pochtta train ki awaz sunai di , kiun k usay deikh kar salman ko rimsha apnay aas pas shiddat se mahsoos honay lagi or wo rimsha ki awaz aik bar sunna chahta tha. Us ka nazrain mila kar nazrain churana or salman k samnay kuch na bolna preshan kar gaya.

Train k atay hi maryum nay rimsha ko eshara kia, maryum train may sawar hoi, maryum or maria nay rimsha ko sahara diya. Lakin ghabrahat or apnay jazbat par qabo na rakhtay huwy wo khud ko sanbhal nahi pa rahi thi jis par maria nay salman ko sahara denay k liye bola ,jo sath hi khara bht oljhi hoi nigahon say rimsha ko deikh raha tha.

Salman nay agay barh kar rimsha k hath thama or sahara diya or usay apnay itna qareeb deikh kar rimsha ki ankhain phir say bheegnay lagi or phr  hath chotnay lagay. Maryum nay rimsha ko sanbhala or jab rimsha nay mor kar aisi nazron say deikha jaisay kuch kahna chah ri ho ye salman nay mahsoos kia.

Train chalnay lagi or train k darwazay may hi maryum rimsha ko baychain pa kar sanbhalnay lagi”rimsha tm thk ho”? lakin ab rimsha say kuch bhi bola nahi gaya, maryum us ki khamoshi say preshan honay lagi or us k chahray ko thapthapanay lagi tab rimsha nay achanak say hi zor say salman ka naam liya or khul kar ronay lagi or apnay saray jazbat apnay ansoun may baha diye…..

Udhar salman nay aik dam se jati hoi train ki traf deikha or us k labon par achanak rimsha ka naam aya , maria preshan hoty huwy” kia huwa salman? ap thk ho?” Baychaini dono traf thi lakin salman haqiqat say ashna na ho saka…

Maryum nay rimsha ko rotay huwy sakhti say galay laga liya “ ho sakay to mujhy maaf  kar dena , meri hi waja say tmhy qadam qadam par takleef ponchi , kash may tmhy yahan lay kar na ayi hoti. Maryum say bhi or kuch nahi kaha gaya ,wo bhi rimsha ki takleefon ka andaza kar chuki thi or rimsha k bahtay ansoun ko rok na saki….

Rimsha nay salman ki mohabat ko apni mohabat say bhi kahin ziada paya or salman ka rimsha k na hoty huwy bhi us ki mohabat ko zinda rakhna , yahi sab us ki takleefon or feelings ko barhata chala gaya. lakin ab us k pas sirf yadain hi rah gain thin, jin k sath usay wapas lotna tha. Khud ko angaron par chalta mahsoos karnay lagi. Baybasi or trap us ki zindagi ka hisa ban gai.

Agr kbhi us k dil ko sookon milta to sirf ye soch kar k salman aj bhi us ko nahi bhoola …Lahsil hi sahi lakin mohabat aj bhi kam na hoi thi...

                      Muhabbat Nahin Hai Naam Sirf Paa Lanay Ka
                         Bichar K Bhi Aksar Dil Dharakte Hain Saath Saath.....

No comments:

Post a Comment