Tum hum ko yad rakhna
Episode No 6
Wakt kbhi kisi k liye nahi rukta or guzray huwy lamhay kbhi loat kar nahi atay. Salman bhi guzray huwy lamhon ko yad krta or koi din aisa nahi tha jis may us nay maryum say rimsha k baray may pocha na ho, or maryum jo usay har bar aik hi bahana krti thi k rimsha out of city ha jab aye gi to bta day gi.
Lakin aik din maryum nay salman ko sab btanay ka faisla kia or salman ko phone kr diya. Salman khush hoty huwy “rasmann maryum say hal pochnay k bad bola”a gai wo madam bas ab may us say bat nahi kronga, bina btaye koi jata ha kia us say kah do naraz hon paka paka”wo apni dhunn may bolta hi chala gaya.
Tab maryum nay us ki bat kattay huwy “wo bhi naraz ho gai ha tm say, ab kbhi tmhy preshan nahi kre gi or na hi koi sawal kre gi”.
Salman kuch preshan hoty huwy”kia mtlb ha tmhra”.Maryum ka seedha bol dena “she is dead, 2 din pehly us ka accident huwa jis may wo”….es say pehly k maryum agay kuch bolti salman nay intehai ghusay may bola”shut up mujhy tmhri koi bakwas nahi sunni, agr agay aik lafz bhi bola to bht bura hoga, meri bat krwao rimsha say mujhy tm say koi bat nahi krni or na kuch sunna ha”.
Us k itnay talkh andaz se maryum bht ghabra gai or darty huwy “yahi haqiqat ha tm bhi accept kr lo, wo ab kbhi wapas nahi aye gi”.Salman k hath se phone choot gaya us ki samjh may kuch nahi a raha tha , wo yaqeen hi nahi kar pa raha tha ,shocked may us ki halat bigarnay lagi or taiz driving k sath ghar se bahir chala gaya.
Sea side par anay k bad wo khud ko sanbhal na saka or us k labon se sirf rimsha ka naam nikla, us ki batain or us k sawal….salman k ankhain num bas yahi sochti rah gain”shaid kisi ka bht dill dukhaya ha may nay, bht se logon ko heart kia ha esi liye aj meray sath aisa huwa aj may heart huwa hon, jisay may nay chaha wohi…meray pas to maafi ka koi rasta bhi nahi raha. jaisy hathon se sab kuch nikal gaya ho…Rimsha ko kho denay ka zimadar wo khud ko samjhnay laga…
Wakt taizi se guzrnay laga salman ko bht wakt laga khud ko adjust krnay may, us nay apnay father ka business sanbhal liya or apnay parents k marzi k mutabiq shaadi bhi kar li ,lakin ab wo pehly jaisa salman nahi tha balkay aik aisa sanjida insane ban gaya jisay muskurana bhi nahi ata ho jaisy…salman nay maryum ko apni shaadi k baray may bta diya tha or ye bat rimsha ko bhi pta thi or wo salman ki khushiun k liye har dam dua krti .
Aik din maryum rimsha k ghar ayi or us k ghar walon se usay apnay sath Karachi apni best frnd ki shaadi may lay janay k liye kaha, jis par us ki mama dar si gai jo rimsha ko us k hadsay k bad ek pal k liye bhi narzron se ojhal nahi honay deti thi. Lakin maryum ka kahna tha k agr rimsha bahir jaye gi to shaid wo badal jaye, wo bahir niklay gi to usay bhi acha lagay ga.
Rimsha k bhai preshan hoty huwy “ maryum tm thk kahti ho lakin hm sab dar say gaye hain rimsha k liye, agar wo jana chahti ha to koi nahi rokay ga shaid hmari guriya kuch lamhon k liye hi sahi khush to hogi”.Maryum nay sab ko razi krnay k bad jab rimsha ko btaya to wo bht dar gai or saf inkar kr diya.
Maryum preshan hoty huwy “ ufffffff rimsha daro mat plz may janti hon tm kis bat se dar ri ho, kuch nahi hoga Karachi bht bara shaher ha yar or hm log wahan just aik shaadi may ja rehe hain or wo koi ameeron ki shaadi nahi jahan salman se tmhra samna hoga, plz yar or wsy bhi tm nay usay ya us nay tmhy deikha tak nahi ha yar phr kaisa dar??”.
Wo rimsha ko razi to kar leti ha but rimsha k dil may trah trah k khayalat anay shuro ho jaty hain…
Next day ghar walon ki purzor nasihaton k sath dono rukhsat hoti hain or train station par rimsha ki maa bar bar maryum ko rimsha ka khayal rakhnay k liye kahti ha jis par maryum un ko tassalli deti ha.
Safar to shuro ho gaya lakin ab rimsha par us ki sochain havi honay lagi…
-------------------