Thursday 26 September 2013

Life is really Simple

Life is really Simple, 
But we insist on making it complicated...


Wednesday 25 September 2013

Change is the law of Life.

Change is the law of Life. 
And those who look only to the Past or Present are certain to miss the Future...


Tuesday 24 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Last Episode





 Sham may salman jab ghar wapas aya to maryum or rimsha ko paya jo ab saira or hiba k naam se wahan thin. Lakin ab rimsha usay deikhti rahti kahin usay deikhnay ka ye pal phr aye na aye. Usay abhi tak yaqeen nahi tha k wo salman ko deikh chuki ha. Us ki baytaab nazrain salman ko bhi baychain kr gain.

Salman nay rimsha ko musalsal khamosh deikh kar akhir poch hi liya “ap Karachi may kahan hoti hain”? Rimsha ko salman say kisi sawal ki omeed na thi es liye achanak se pochay jany par ghabra gai, es say pehly kuch bolti maryum nay jhoot bol kar us ki traf say jawab day diya.

Lakin ab rimsha dar gai thi kahin usay kuch pta na chal jaye, wo kuch or na poch lay.

Kuch lamhay bad maria khanay k table par sab ko bulati ha or sab sath khana khaty hain, lakin salman nay rimsha ki khamoshi par notice kia, or phr sawal kar  liya “ap bolti nahi hain”? Again maryum nay hi jawab diya “ye bht kam bolti ha”.

Maria bhi muskuraty huwy “ mujh say se batain ki thin but I think salman k samnay hesitate ho ri ha”. Khanay k bad jab janay ka wakt anay laga rimsha ki baychaini barhti gai. Salman nay garhi start ki or poray rastay rimsha apnay anso chupati rahi, us ki baybasi arooj par thi.

Station par ponchtay hi salman ticket lenay gaya to rimsha usay deikhnay lagi, kuch lamhay bad salman wapas aya or sab train ka intizar krnay lagay. Lakin ab rimsha ko train ka intizar nahi tha wo bar bar salman ki traf deikhti jo ab salman ko bhi feel ho gaya tha . Us ka aisay deikhna salman k dil may sawal paida krta chala gaya.

Salman nay phir say rimsha say bat krnay ki koshish ki es say pehly kuch pochtta train ki awaz sunai di , kiun k usay deikh kar salman ko rimsha apnay aas pas shiddat se mahsoos honay lagi or wo rimsha ki awaz aik bar sunna chahta tha. Us ka nazrain mila kar nazrain churana or salman k samnay kuch na bolna preshan kar gaya.

Train k atay hi maryum nay rimsha ko eshara kia, maryum train may sawar hoi, maryum or maria nay rimsha ko sahara diya. Lakin ghabrahat or apnay jazbat par qabo na rakhtay huwy wo khud ko sanbhal nahi pa rahi thi jis par maria nay salman ko sahara denay k liye bola ,jo sath hi khara bht oljhi hoi nigahon say rimsha ko deikh raha tha.

Salman nay agay barh kar rimsha k hath thama or sahara diya or usay apnay itna qareeb deikh kar rimsha ki ankhain phir say bheegnay lagi or phr  hath chotnay lagay. Maryum nay rimsha ko sanbhala or jab rimsha nay mor kar aisi nazron say deikha jaisay kuch kahna chah ri ho ye salman nay mahsoos kia.

Train chalnay lagi or train k darwazay may hi maryum rimsha ko baychain pa kar sanbhalnay lagi”rimsha tm thk ho”? lakin ab rimsha say kuch bhi bola nahi gaya, maryum us ki khamoshi say preshan honay lagi or us k chahray ko thapthapanay lagi tab rimsha nay achanak say hi zor say salman ka naam liya or khul kar ronay lagi or apnay saray jazbat apnay ansoun may baha diye…..

Udhar salman nay aik dam se jati hoi train ki traf deikha or us k labon par achanak rimsha ka naam aya , maria preshan hoty huwy” kia huwa salman? ap thk ho?” Baychaini dono traf thi lakin salman haqiqat say ashna na ho saka…

Maryum nay rimsha ko rotay huwy sakhti say galay laga liya “ ho sakay to mujhy maaf  kar dena , meri hi waja say tmhy qadam qadam par takleef ponchi , kash may tmhy yahan lay kar na ayi hoti. Maryum say bhi or kuch nahi kaha gaya ,wo bhi rimsha ki takleefon ka andaza kar chuki thi or rimsha k bahtay ansoun ko rok na saki….

Rimsha nay salman ki mohabat ko apni mohabat say bhi kahin ziada paya or salman ka rimsha k na hoty huwy bhi us ki mohabat ko zinda rakhna , yahi sab us ki takleefon or feelings ko barhata chala gaya. lakin ab us k pas sirf yadain hi rah gain thin, jin k sath usay wapas lotna tha. Khud ko angaron par chalta mahsoos karnay lagi. Baybasi or trap us ki zindagi ka hisa ban gai.

Agr kbhi us k dil ko sookon milta to sirf ye soch kar k salman aj bhi us ko nahi bhoola …Lahsil hi sahi lakin mohabat aj bhi kam na hoi thi...

                      Muhabbat Nahin Hai Naam Sirf Paa Lanay Ka
                         Bichar K Bhi Aksar Dil Dharakte Hain Saath Saath.....

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 9


Maryum dil may sawal pay sawal sochnay lagi, k salman ka es trah rimsha k samnay a jana or ab rimsha kaisy react kre gi? Or wo jo us say kahti rahi k salman say us ka samna nahi hoga , hosla deti rahi ab usay kia jawab day gi? Us ki barhti baychaini ya takleef ko kaisay khatm kre gi…

Maryum abhi apnay hi sawalon may gum thi k maria room may ayi or boli, “ap nay apni family ko phone kr diya wo log ap logon k liye preshan ho rehe hongay”. Tab maryum nay sir hila kr han may jawab  day diya or kaha “I think hm logon ko ab chalna chahiye” wo halat ka samna karnay se saf bachna chahti thi or salman ki wapsi se pehly wahan say rimsha ko lay kar jana chahti thi, but aisa na huwa, maria nay sham k khanay k liye na sirf roka balkay un dono ki pori zimadari lay li.

Maria nay rimsha ki traf deikha jo bilkul chup si gum sum baithi thi, “ap dono mujhy kuch preshan lagti hain everything is ok?” Maryum chahray k tasuraat chupatay huwy “ nahi aisa kuch nahi ha bas zara train mis ho gai or saira apni mama ko bht mis kr ri ha, un say dor rahnay ki addat nahi ha na es liye…”

Maria or maryum apas may batain hi kr rehe thy k rimsha achanak se sawal krti ha “ kia ap ko kbhi us larki se takleef nahi ponchi jis say salman mohabbat krty thy?”

 Es  sawal nay maria k chahray par udasi tari kar di or salman ki tasveer deikhtay huwy  “ unhonay apni pori zindagi meray naam ki thi , badlay may sirf mujhy apna naam qurban krna tha, agr ye bhi na  karti to mera piyar us k liye hemasha aik uljhan bna rahta, may bhi salman say piyar krti hon”.

Rimsha ki ankhon may anso a gaye or excuse kia “ I m sorry may nay ap ko heart kia”.

Maria  apnay anso saf krtay huwy” no it’s ok , mujhy koi dukh nahi wasay bhi rimsha wo larki thi jis nay salman ko badal kar mujhy lotaya warna salman ki zindagi aik khail ban kr rah gai thi, us ka flirty behave mujhy bht takleef deta tha , but may kbhi usay badal hi nahi pai".

Maria k janay k bad maryum nay  rimsha ki traf deikha or nazrain jhuka len. Wo jan gai thi k ab rimsha us say sawalaat kre gi jis ka us k pas koi jawab nahi hoga.

Rimsha apnay hi saharay say us ki traf chali or kaha “mujh say nazrain na churao maryum meri takleef ko mahsoos kro, Tm hi thi jis nay kaha tha k kuch nahi hoga , suno bht kuch ho gaya ha , zindagi boj to pehlay hi ho gai thi lakin ab zindagi say nafrat ho gai”. Hm usay khonay ka dukh krain ya apni waja say kisi or ko honay wali takleefon ka andaza…us(Maria) nay kaha nahi lakin us k dil may kahin na kahin meray liye nafrat bhi hogi…

Tab maryum nay usay sanbhala or us k chahray k anso saf krty huwy” aik bat yad rakhna wo tmhy aj bhi nahi bhoola , lakin ye bhi sach ha koi or bhi tmhri trah usay chahta ha or wahi us ki life may shamil ha , tm ab kahin nahi ho or kia tm chaho gi k jo khushi tmhay na mil saki wo kisi or say bhi chin jaye?”

Rimsha nay anso bhari nighahon say usay deikha or apni baybasi par chalakty anso ko rok na saki or na hi kuch kah pai.

Maryum nay rimsha ki ankhon may ankhain dal kar “ tmhri awaz bhi nahi bhoola hoga wo, jab tak hm yahan say chalay nahi jaty tab tak tm…..”

Rimsha samjh gai thi or esi liye pori bat sunay baghair maryum k galay lag gai or bht say shikway honay par bhi kuch nahi kah pai...





Sunday 22 September 2013

I get jealous

I get jealous
I get mad I get worried
I get curious,
That's  only because I care.