Sunday 29 September 2013

Love is triumph of imagination

Love is triumph of imagination
over intelligence...


Love is the river of life

Love is the river of life 
in the world..


I am in you and you in me

I am in you and you in me,
mutual in divine love..


Saturday 28 September 2013

A very small degree of hope is sufficient

A very small degree of hope is sufficient
to cause the birth of love...


Friendship often ends in "Love"

Friendship often ends in  "Love"
but "Love"  in friendship never.





I will no longer allow the negative things in my life

I will no longer allow the negative things in my life 
to spoil all of the good things i have.
I choose to be happy...


That sad moment when you're telling a story

That sad moment when you're telling a story
but you realize nobody's listening to you.





No one has ever loved anyone

No one has ever loved anyone
the way everyone wants to be loved...



All life is an experiment

All life is an experiment.
The more experiments you make the better...


Love is not only something you feel

Love is not only something you feel,
it is something you do...


Each moment of a happy

Each moment of a happy
lover's hour is worth 
an age of dull and common life...


Love is when you meet someone

Love is when you meet someone
who tells you 
something new about yourself...


The moment you have in your heart

The moment you have in your heart
 this extraordinary thing called love and feel the depth,
the delight, the ecstasy of it,
you will discover that for you 
the World is transformed...


I like not only to be loved

I like not only to be loved,
But also to be told I am Loved..


Friday 27 September 2013

Failling in Love is the best way to kill your heart

Failling in Love is the best way to kill your heart
because then it's not yours anymore.
It's laid in a coffin,
waiting to be cremated.


You reached inside and touched my soul

You reached inside and touched my soul,
and now i am hopelessly yours...


If you smile when no one else is around

If you smile when no one else is around,
you really mean it...





Thursday 26 September 2013

The one thing we can never get enough of is love.

The one thing we can never get enough of is love.
And the one thing we never give enough is love.


Life is really Simple

Life is really Simple, 
But we insist on making it complicated...


Wednesday 25 September 2013

Change is the law of Life.

Change is the law of Life. 
And those who look only to the Past or Present are certain to miss the Future...


Tuesday 24 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Last Episode





 Sham may salman jab ghar wapas aya to maryum or rimsha ko paya jo ab saira or hiba k naam se wahan thin. Lakin ab rimsha usay deikhti rahti kahin usay deikhnay ka ye pal phr aye na aye. Usay abhi tak yaqeen nahi tha k wo salman ko deikh chuki ha. Us ki baytaab nazrain salman ko bhi baychain kr gain.

Salman nay rimsha ko musalsal khamosh deikh kar akhir poch hi liya “ap Karachi may kahan hoti hain”? Rimsha ko salman say kisi sawal ki omeed na thi es liye achanak se pochay jany par ghabra gai, es say pehly kuch bolti maryum nay jhoot bol kar us ki traf say jawab day diya.

Lakin ab rimsha dar gai thi kahin usay kuch pta na chal jaye, wo kuch or na poch lay.

Kuch lamhay bad maria khanay k table par sab ko bulati ha or sab sath khana khaty hain, lakin salman nay rimsha ki khamoshi par notice kia, or phr sawal kar  liya “ap bolti nahi hain”? Again maryum nay hi jawab diya “ye bht kam bolti ha”.

Maria bhi muskuraty huwy “ mujh say se batain ki thin but I think salman k samnay hesitate ho ri ha”. Khanay k bad jab janay ka wakt anay laga rimsha ki baychaini barhti gai. Salman nay garhi start ki or poray rastay rimsha apnay anso chupati rahi, us ki baybasi arooj par thi.

Station par ponchtay hi salman ticket lenay gaya to rimsha usay deikhnay lagi, kuch lamhay bad salman wapas aya or sab train ka intizar krnay lagay. Lakin ab rimsha ko train ka intizar nahi tha wo bar bar salman ki traf deikhti jo ab salman ko bhi feel ho gaya tha . Us ka aisay deikhna salman k dil may sawal paida krta chala gaya.

Salman nay phir say rimsha say bat krnay ki koshish ki es say pehly kuch pochtta train ki awaz sunai di , kiun k usay deikh kar salman ko rimsha apnay aas pas shiddat se mahsoos honay lagi or wo rimsha ki awaz aik bar sunna chahta tha. Us ka nazrain mila kar nazrain churana or salman k samnay kuch na bolna preshan kar gaya.

Train k atay hi maryum nay rimsha ko eshara kia, maryum train may sawar hoi, maryum or maria nay rimsha ko sahara diya. Lakin ghabrahat or apnay jazbat par qabo na rakhtay huwy wo khud ko sanbhal nahi pa rahi thi jis par maria nay salman ko sahara denay k liye bola ,jo sath hi khara bht oljhi hoi nigahon say rimsha ko deikh raha tha.

Salman nay agay barh kar rimsha k hath thama or sahara diya or usay apnay itna qareeb deikh kar rimsha ki ankhain phir say bheegnay lagi or phr  hath chotnay lagay. Maryum nay rimsha ko sanbhala or jab rimsha nay mor kar aisi nazron say deikha jaisay kuch kahna chah ri ho ye salman nay mahsoos kia.

Train chalnay lagi or train k darwazay may hi maryum rimsha ko baychain pa kar sanbhalnay lagi”rimsha tm thk ho”? lakin ab rimsha say kuch bhi bola nahi gaya, maryum us ki khamoshi say preshan honay lagi or us k chahray ko thapthapanay lagi tab rimsha nay achanak say hi zor say salman ka naam liya or khul kar ronay lagi or apnay saray jazbat apnay ansoun may baha diye…..

Udhar salman nay aik dam se jati hoi train ki traf deikha or us k labon par achanak rimsha ka naam aya , maria preshan hoty huwy” kia huwa salman? ap thk ho?” Baychaini dono traf thi lakin salman haqiqat say ashna na ho saka…

Maryum nay rimsha ko rotay huwy sakhti say galay laga liya “ ho sakay to mujhy maaf  kar dena , meri hi waja say tmhy qadam qadam par takleef ponchi , kash may tmhy yahan lay kar na ayi hoti. Maryum say bhi or kuch nahi kaha gaya ,wo bhi rimsha ki takleefon ka andaza kar chuki thi or rimsha k bahtay ansoun ko rok na saki….

Rimsha nay salman ki mohabat ko apni mohabat say bhi kahin ziada paya or salman ka rimsha k na hoty huwy bhi us ki mohabat ko zinda rakhna , yahi sab us ki takleefon or feelings ko barhata chala gaya. lakin ab us k pas sirf yadain hi rah gain thin, jin k sath usay wapas lotna tha. Khud ko angaron par chalta mahsoos karnay lagi. Baybasi or trap us ki zindagi ka hisa ban gai.

Agr kbhi us k dil ko sookon milta to sirf ye soch kar k salman aj bhi us ko nahi bhoola …Lahsil hi sahi lakin mohabat aj bhi kam na hoi thi...

                      Muhabbat Nahin Hai Naam Sirf Paa Lanay Ka
                         Bichar K Bhi Aksar Dil Dharakte Hain Saath Saath.....

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 9


Maryum dil may sawal pay sawal sochnay lagi, k salman ka es trah rimsha k samnay a jana or ab rimsha kaisy react kre gi? Or wo jo us say kahti rahi k salman say us ka samna nahi hoga , hosla deti rahi ab usay kia jawab day gi? Us ki barhti baychaini ya takleef ko kaisay khatm kre gi…

Maryum abhi apnay hi sawalon may gum thi k maria room may ayi or boli, “ap nay apni family ko phone kr diya wo log ap logon k liye preshan ho rehe hongay”. Tab maryum nay sir hila kr han may jawab  day diya or kaha “I think hm logon ko ab chalna chahiye” wo halat ka samna karnay se saf bachna chahti thi or salman ki wapsi se pehly wahan say rimsha ko lay kar jana chahti thi, but aisa na huwa, maria nay sham k khanay k liye na sirf roka balkay un dono ki pori zimadari lay li.

Maria nay rimsha ki traf deikha jo bilkul chup si gum sum baithi thi, “ap dono mujhy kuch preshan lagti hain everything is ok?” Maryum chahray k tasuraat chupatay huwy “ nahi aisa kuch nahi ha bas zara train mis ho gai or saira apni mama ko bht mis kr ri ha, un say dor rahnay ki addat nahi ha na es liye…”

Maria or maryum apas may batain hi kr rehe thy k rimsha achanak se sawal krti ha “ kia ap ko kbhi us larki se takleef nahi ponchi jis say salman mohabbat krty thy?”

 Es  sawal nay maria k chahray par udasi tari kar di or salman ki tasveer deikhtay huwy  “ unhonay apni pori zindagi meray naam ki thi , badlay may sirf mujhy apna naam qurban krna tha, agr ye bhi na  karti to mera piyar us k liye hemasha aik uljhan bna rahta, may bhi salman say piyar krti hon”.

Rimsha ki ankhon may anso a gaye or excuse kia “ I m sorry may nay ap ko heart kia”.

Maria  apnay anso saf krtay huwy” no it’s ok , mujhy koi dukh nahi wasay bhi rimsha wo larki thi jis nay salman ko badal kar mujhy lotaya warna salman ki zindagi aik khail ban kr rah gai thi, us ka flirty behave mujhy bht takleef deta tha , but may kbhi usay badal hi nahi pai".

Maria k janay k bad maryum nay  rimsha ki traf deikha or nazrain jhuka len. Wo jan gai thi k ab rimsha us say sawalaat kre gi jis ka us k pas koi jawab nahi hoga.

Rimsha apnay hi saharay say us ki traf chali or kaha “mujh say nazrain na churao maryum meri takleef ko mahsoos kro, Tm hi thi jis nay kaha tha k kuch nahi hoga , suno bht kuch ho gaya ha , zindagi boj to pehlay hi ho gai thi lakin ab zindagi say nafrat ho gai”. Hm usay khonay ka dukh krain ya apni waja say kisi or ko honay wali takleefon ka andaza…us(Maria) nay kaha nahi lakin us k dil may kahin na kahin meray liye nafrat bhi hogi…

Tab maryum nay usay sanbhala or us k chahray k anso saf krty huwy” aik bat yad rakhna wo tmhy aj bhi nahi bhoola , lakin ye bhi sach ha koi or bhi tmhri trah usay chahta ha or wahi us ki life may shamil ha , tm ab kahin nahi ho or kia tm chaho gi k jo khushi tmhay na mil saki wo kisi or say bhi chin jaye?”

Rimsha nay anso bhari nighahon say usay deikha or apni baybasi par chalakty anso ko rok na saki or na hi kuch kah pai.

Maryum nay rimsha ki ankhon may ankhain dal kar “ tmhri awaz bhi nahi bhoola hoga wo, jab tak hm yahan say chalay nahi jaty tab tak tm…..”

Rimsha samjh gai thi or esi liye pori bat sunay baghair maryum k galay lag gai or bht say shikway honay par bhi kuch nahi kah pai...





Sunday 22 September 2013

I get jealous

I get jealous
I get mad I get worried
I get curious,
That's  only because I care.


No one falls in love by

No one falls in love by
choice, it's by chance.


The best love is the one

The best love is the one
that makes you a better person,
without changing you
into someone other than yourself.


Sunday 15 September 2013

Tanhayi Kay aatishdaan Main

Tanhayi Kay aatishdaan Main
Mein Lakkri Ki Tarah Jalta Tha
Tere Saath Tera Hamraahi
  Mere Saath Mera Rasta Tha...


Saturday 14 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna 

Episode No 8




Maria rimsha or maryum ko apnay ghar lay kr ati ha or rimsha ko apny bedroom may lay jati ha ta k wo kuch dair aram kr k relax ho jaye. Maria muskuraty huwy”ap log aram krain may ap logon k liye khana ka intizam krti hon wsy bhi ap logon ki train meri waja se miss hoi ha I m really sorry”.

Maryum muskuraty huwy “it’s ok”. Maria k janay k bad maryum fresh honay jati ha, rimsha nay khud ko normal feel kia or ankhain bnd kr li.

Kuch hi lamhon bad achanak se koi zor zor se rimsha kahta huwa room may enter hota ha jis par rimsha chonk jati ha or aik dam se uth kr dubatta sanbhalti lagi.

Aik decent sa larka jo apnay cell phone may magan “rimsha kahan ho yar mujhy meeting k liye dair ho jaye gi khana laga do”, achanak se jab us ki nazr rimsha pay parti ha to wo bhi aik dam se shocked ho kr “I m sorry ap kon, yahan meray room may kaisy?”

Rimsha abhi yahi soch ri thi k us nay us ka naam kiun liya, kia wo usay janta ha, es say pehly k rimsha  koi jawab deti maria room may enter hoty huwy”salman ye guest hain actually in ka meri garhi se chota sa accident ho gaya to in ki halat mujhy thk ni lagi to may in ko ghr lay ayi". 

Maryum  or rimsha ko bataty huwy “he is my husband salman”.Maryum bhi ye sab deikh kar preshan ho gai.

Salman ka naam sun kr to rimsha jaisay apnay hawas kho baithi ,maryum bhi kuch preshan si ho gai thi. Salman confuse ho kr “ok relax I m sorry mujhy pta nahi tha , ok rimsha tm khana laga do mujhy urgently jana ha”. Wo maria ko rimsha kah raha tha or ye bat maryum or rimsha ko bht ajeeb lagi or preshan kar gai.

Salman k janay k bad maryum maria se bht hairan ho kr “ap nay to apna naam maria btaya tha???”.

Dono ki sawaliya nazron ka maria k pas koi jawab nahi tha, maria k chahray par udasi si cha gai or kahnay lagi”salman  kisi rimsha naam ki larki se bht mohabat krty hain ye bat unhonay mujhy shaadi ki pehli rat hi bta di thi. Wo  larki to kisi car accident may mar chuki thi, lakin us ko har pal apny dill may zinda rakhnay k liye mujhy meri ejazar say rimsha kahna shuro kr diya or may nay es bat par koi atraaz nahi kia ,balkay un ki mohabat ka ahtram kia, bas kash itni mohabat meray naam ki hoti, she is so lucky zaror us may kuch tha”.


Rimsha jaisay jaisay sunti gai us ki ghabrahat barhti gai. Maria anso saf krty huwy or jhooti muskurahat k sath” wsy ap logon nay abhi tak apna intro nahi krwaya siwaye es k ap log Karachi ja rehe thy”.

Maryum  bhi shocked thi or jab naam pochay gaye to dono ghabra gain or aik dam maryum nay rimsha ki traf deikhty huwy rimsha ka naam saira btaya or apna hiba bta diya.

Maria jaty huwy "ok ap log bilkul preshan na hon may ap logon ko sham k khanay k bad sham ki train k liye station chor dongi". Maryum  nay thanks kia jis par maria nay welcome kia or chali gai.

Maryum rimsha ki traf deikh kr kuch bhi nahi kah pai, lakin rimsha ki baychaini ko samjh gai. Rimsha bhi shocked thi wo believe hi nahi kar pa rahi thi k wo salman ko deikh chuki ha or wo aj bhi us k naam k sath zindagi guzaar raha ha, sach may us nay rimsha ko kbhi marnay hi nahi diya tha… salman k liye  rimsha ki baychaini or bhi barhti chali gai.

Ab rimsha khud ko maria ki jaga par deikhti or sochti k agr us ka accident na huwa hota to wo aj salman ki zindagi may us ki jeevan sathi hoti. Wo un dono ko deikh kar apni hi baybasi par anso bahanay lagi, lakin ye bhi haqiqat thi jisay us nay har hal may qabool krna tha. 


Rimsha salman ki nazron se bach kr bar bar usay deikhti rahi………or jab ankhain num hoti to ankhain chura leti….




Thursday 12 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 7


Karachi ponchay to train k ruktay hi rimsha bhi normal honay ki acting krnay lagi, maryum nay usay train se utrnay may maddad ki k achanak se utrnay k doran rimsha ki baysakhi slip hoi or rimsha nay jaldi se maryum ka sahara liya. Tab maryum ko feel ho gaya rimsha abhi tak dar ri ha rimsha ko samjhaty huwy “ tmhray chahray ko deikh kar to aisa lag raha jaisay hm log kisi shaadi par nahi balkay kisi ki barsi par aye hain common yar chear up”.

Maryum nay shaadi walay ghar ponch kar rimsha k ghar walon ko apni khariyat se agha kia, jis par sab ko tassali hoi.

Maryum rimsha ka introduction krwati ha us k bad  maryum or rimsha shaadi ki har rassam ka hisa banti hain. Rimsha ko zabardasti mahndi lagai gai. 

Lakin rimsha pori shaadi may apny ap ko unsecure feel krti rahi, usay har pal salman ka khayal ata or har aik ko deikh kar khud ko chupati. Lakin maryum k samnay normal show krti.

Rasmain hoti rahi rimsha wapas janay ka intizar krti rahi, us ki baychainiaan aisay barh rahi thi jaisay salman us k kahin aas pas hi ho.

Shaadi khatm hoi to rimsha ko kuch sookon aya or janay k liye tayar ho gai. Dono nay wapsi k liye bhi train k safar ka intikhab kia kiun k wo rimsha ko pasand tha. Ghar walon se ejazat lay kr janay ka wakt aya to dono texi may sawar station ki traf nikal gai. 

Rastay may hi texi kharab ho gai or ab itni si bat k liye rimsha aisay preshan ho gai jaisay koi bht bari bat ho gai ho. Maryum or rimsha nay dosri texi ka intizar kia ,road pay khari rimsha ka dar or bhi barh gaya” ye texi kiun nahi a rahi ha”.

 Maryum hanstay huwy “ ab texi a bhi gai to mujhy lagta ha train to hath nahi aye gi, lagta ha rat ki train se hi jana paray ga”.

Abhi maryum usay teaz hi kar rahi thi k achanak se aik car pas se guzri jis say rimsha ko mamuli sa hit kia, lakin ghabrahat ki shiddat se wo khud ko sanbhal nahi pai. Maryum nay cheikhty huwy” kia huwa rimsha tm theek ho”. Maryum khoofzada ho gai .

Kuch lamhay bad garhi bhi ruk gai  or aik bht hi decent si larki ghabrati hoi ayi or boli”oh I m really sorry, can I help u plz”. Rimsha ki halat deikhty huwy us  larki nay apna introduction krwaya jis may us nay apna naam maria btaya  or apnay sath apnay ghar lay gai.

Rimsha ki halat bht kharab ho gai thi, wo bht dar si gai thi or ghabrahat se kafi paseena bhi a raha tha. Us ki ankhon k samnay apna pehla accident ghomnay laga jis may us nay salman ko kho diya tha………..Chahray par aik ajeeb si udasi chaa gai, rimsha ko salman k sath guzray wakt ki yad anay lagi. Us say sawal krna, jhagra krna or phr rothna manana…

----------------



Sunday 8 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna


Tum hum ko yad rakhna

Episode No 6


Wakt  kbhi kisi k liye nahi rukta or guzray huwy lamhay kbhi loat kar nahi atay. Salman bhi guzray huwy lamhon ko yad krta or koi din aisa nahi tha jis may us nay maryum say rimsha k baray may pocha na ho, or maryum jo usay har bar aik hi bahana krti thi k rimsha out of city ha jab aye gi to bta day gi.

Lakin aik din maryum nay salman ko sab btanay ka faisla kia or salman ko phone kr diya. Salman khush hoty huwy “rasmann maryum say hal pochnay k bad bola”a gai wo madam bas ab may us say bat nahi kronga, bina btaye koi jata ha kia us say kah do naraz hon paka paka”wo apni dhunn may bolta hi chala gaya.

Tab maryum nay us ki bat kattay huwy “wo bhi naraz ho gai ha tm say, ab kbhi tmhy preshan nahi kre gi or na hi koi sawal kre gi”.

Salman kuch preshan hoty huwy”kia mtlb ha tmhra”.Maryum ka seedha bol dena “she is dead, 2 din pehly us ka accident huwa jis may wo”….es say pehly k maryum agay kuch bolti salman nay intehai ghusay may bola”shut up mujhy tmhri koi bakwas nahi sunni, agr agay aik lafz bhi bola to bht bura hoga, meri bat krwao rimsha say mujhy tm say koi bat nahi krni or na kuch sunna ha”.

Us k itnay talkh andaz se maryum bht ghabra gai or darty huwy “yahi haqiqat ha tm bhi accept kr lo, wo ab kbhi wapas nahi aye gi”.Salman k hath se phone choot gaya us ki  samjh may kuch nahi a raha tha , wo yaqeen hi nahi kar pa raha tha ,shocked may us ki halat bigarnay lagi or taiz driving k sath ghar se bahir chala gaya.

Sea side par anay k bad wo khud ko sanbhal na saka or us k labon se sirf rimsha ka naam nikla, us ki batain or us k sawal….salman k ankhain num bas yahi sochti rah gain”shaid kisi ka bht dill dukhaya ha may nay, bht se logon ko heart kia ha esi liye aj meray sath aisa huwa aj may heart huwa hon, jisay may nay chaha wohi…meray pas to maafi ka koi rasta bhi nahi raha. jaisy hathon se sab kuch nikal gaya ho…Rimsha ko kho denay ka zimadar wo khud ko samjhnay laga…


Wakt taizi se guzrnay laga salman ko bht wakt  laga khud ko adjust krnay may, us nay apnay father ka business sanbhal liya or apnay parents k marzi k mutabiq shaadi bhi kar li ,lakin ab wo pehly jaisa salman nahi tha balkay aik aisa sanjida insane ban gaya jisay muskurana bhi nahi ata ho jaisy…salman nay maryum ko apni shaadi k baray may bta diya tha or ye bat rimsha ko bhi pta thi or wo salman ki khushiun k liye har dam dua krti .

Aik din maryum rimsha k ghar ayi or us k ghar walon se usay apnay sath Karachi apni best frnd ki shaadi may lay janay k liye kaha, jis par us ki mama dar si gai jo rimsha ko us k hadsay k bad ek pal k liye bhi narzron se ojhal nahi honay deti thi. Lakin maryum ka kahna tha k agr rimsha bahir jaye gi to shaid wo badal jaye,  wo bahir niklay gi to usay bhi acha lagay ga.

Rimsha k bhai preshan hoty huwy “ maryum tm thk kahti ho lakin hm sab  dar say gaye hain rimsha k liye, agar wo jana chahti ha to koi nahi rokay ga shaid hmari guriya kuch lamhon k liye hi sahi khush to hogi”.Maryum nay sab ko razi krnay k bad jab rimsha ko btaya to wo bht dar gai or saf inkar kr diya.

Maryum preshan hoty huwy “ ufffffff rimsha  daro mat plz may janti hon tm kis bat se dar ri ho, kuch nahi hoga Karachi bht bara shaher ha  yar or hm log wahan just aik shaadi may ja rehe hain or wo koi ameeron  ki shaadi nahi jahan salman se tmhra samna hoga, plz yar or wsy bhi tm nay usay ya us nay tmhy deikha tak nahi ha yar phr kaisa dar??”. 

Wo rimsha ko razi to kar leti ha but rimsha k dil may trah trah k khayalat anay shuro ho jaty hain…

Next day ghar walon ki purzor nasihaton k sath dono rukhsat hoti hain or train station par rimsha ki maa bar bar maryum ko rimsha ka khayal rakhnay k liye kahti ha jis par maryum un ko tassalli deti ha.

Safar to shuro ho gaya lakin ab rimsha par us ki sochain havi honay lagi…

-------------------





Saturday 7 September 2013

Mohhabat Dukh To Deti Hai

Magar

Eik Bat Kehni Hai
Jisko Chaha Jata Hai
Zarori Ye Nahi Hota K
Usko Pa Liya Jaye

Kabhi Us K Bicharnay  Se
Mohabbat Kam Nahi Hoti

Zara Si Dair Pahle To
Yehi Ehsaas Hota Hai K

Koi Ji Nahi Sakta
Magar Phir Rafta Rafta Hi
Haqiqat KhulTi Jati Hai

Mohabbat Wo Nahi Hoti

K Jisko Pa Liya Jaye

Mohabbat Wo B Hoti Hai
Jo Hamesha Sath Rahti Hai

Kabhi Dukh K Andheron mai
Kabhi Khushion K Daman mai

Kabhi Wo Aas Dati Hai
Kabhi Umeed Dati Hai..!!




Wednesday 4 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 5


Khushi jab had se barh jaye or bina kisi omeed k hasil ho to aksar haqiqat bhi khuab si lagti ha, aisa hi kuch hal rimsha ka tha jo khushi se pagal maryum ko salman k bary may btanay k liye taizi se ja ri thi, jo bahir garhi k pas us ka intizar kar rahi thi.

Rimsha apni hi dhunn may maryum kahti hoi chali a ri thi maryum ki nazar jab us pay pari to us ko itna khush deikh k hairan honay lagi or kahnay lagi “esay kia mil gaya”.

 Lakin agalay hi lamhay maryum ki ankhain phati ki phati rah gain kiun k rimsha ko road cross krty huwy side par deikhnay ka khayal nahi aya or taiz raftar ati hoi aik car se us ka accident ho gaya.Maryum cheikhty huwy “ rimsha sanbhal kr “, wo taizi se rimsha kahti hoi us ki traf lapki lakin usay bacha nahi saki. Or rimsha apnay zakhon ki taab na latay huwy bayhosh ho gai.

Maryum rimsha ko hospital to lay ayi lakin usay us hadsay par abhi tak yaqeen nahi ho raha tha wo bht ghabrai hoi thi or us k ghar walon ko jab phone krnay k liye jana para to wo or bhi khofzada ho gai , kiun k maryum hi rimsha ko zaberdasti apny sath lay kar ayi thi ye bat us ko bht khal ri thi or ab rimsha k es halat ka zimadar wo khud ko samjhnay  lagi.

Jab rimsha k ghar walon ko pta chala to un par jaisy pahar toot gaya ho, kuch hi lamhon may us k sab ghar walay hospital may thy lakin rimsha k maa ki halat biggrti chali gai. Sab k pas duaon k elwa koi rasta nahi tha or sab k labon par rimsha ki zindagi ki dua k siwa kuch na tha. Maryum rimsha ki maa ko sanbhalty huwy “ anti plz sanbhalain khud ko usay kuch nahi hoga”. 

Kafi dair k bad jab doctors k operation thater se anay par rimsha k  ghar walay us ki traf lapkay, or un k pochnay par doctors nay preshani may kaha “she is all right but……” , adhora sa jumla sab k dil ki dharkannon ko taiz krta chala gaya, hr aik ko ajeeb si ghabrahat honay lagi or sab ki sawaliya nazron ko deikhty huwy doctors nay preshani se” ap ki beti thk ha lakin ab wo shaid kbhi  apnay paoun par nahi chal na paye, accident shadeed honay ki waja se wo apni ye silahiyat kho chuki hay…..

Rimsha k ghar walon par jaisy qayamat toot gai ho. Maryum nay rimsha k baray may jab aisa suna to shocked ho gai, or rimsha ki maa ko sanbhalny lagi jin ki halat pehly se bhi ziada kharab ho rahi thi , or apni beti k sadmay ki waja say wo bar bar bayhosh honay lagi.

Un k hosh may anay k bad sab nay aik dosray ko jhooti tassalli dena shuro kr di or apnay chahron par zaberdasti ki taskeen mussallat kar k aik dosry ko hosla diya.Lakin ab mushkil thi rimsha ko ye sab btanay ki.Har aik janta tha k rimsha kis trah react kre gi…

lakin rimsha k hosh may anay k bad jab usay btaya gaya to wohi huwa jis ka sab ko dar tha… wo aik taweel khamoshi ka shikar ho gai, na ro pai or na kuch kah pai. Sab ko us ki halat ka andaza ho gaya tha. Lakin koi bhi us k liye kuch nahi kar saka.

Wakt to guzrta raha lakin rimsha ab pehly jaisi nahi rahi or na us may koi tabdeeli ayi, khamosh narzrain door tak deikhti rahti lakin kisi se bhi kuch kah na pati, na labon pay koi shikwa raha or na dill may koi chahat rahi....lakin ab kisi bhi cheez ko bht dair tak deikhna or phr deikhty deikhty usi may gum ho jana us ki addat ban gai. Salman ko kho denay ka ahsaas har pal dill may khalta raha...

Aik din maryum nay rimsha say pocha tm to khamosh ho gai ho lakin usay kia kahon jo rat din tmhri rah deikhta ha, roz phone kr k tmhra pochta ha…maryum rimsha k jawab say shocked ho jati ha jab wo bht puresrar andaz may kahti ha” kah do k rimsha mar chuki ha”.

Es say pehly k maryum usay kuch bolti rimsha na hath jor liye or bheegti ankhon se kahnay lagi”kia tm chahti ho k koi mujhy tars ki nigah say deikhay, wo shaid mohabat ka dawa aj bhi kar day lakin meri zindagi to ab meray liye bojh  ha or may apna bojh khud uthana chahti hon”. Maryum ki ankhain bhi num honay lagi us k pas jawab hi nahi tha…

--------------




Monday 2 September 2013

Tum Hum Ko Yad rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 4



Agli subha jab salman ki ankh khuli to us k room k darwazay par bar bar nock kia ja raha tha, us nay  ankhain masalty huwy darwaza khula to darwazay par salman ki mama thi, jo nasihatann kahnay lagi
“kia bat ha beta rat bhi tm kafi ghusay may ghar wapas aye or hm sab tmhy wish krnay lagy thy lakin tm ghusay may apny kamray may chalay gaye. Chalo ab nichay aao tmhray papa nay chota sa arranment kia ha tmhry liye jo hm teeno mil kr celebrate krain gy.”

Salman nay han may sir hilaty huwy kaha “ok mama ap chalo may fresh ho k ata hon”.

salman ki maa muskuraty huwy chali jati ha lakin ab salman k demagh may na sirf wo thapar gunjta ha balkay rimsha ka khayal bhi ata ha jis par us nay thapar ka sara ghusa nikala tha or phr salman nay foran rimsha ko phone kia lakin us ka no musalsal band ja raha tha….salman ki preshani barhi to us nay foran laptop on kia or facebook par rimsha k mcgs deikhay to or bhi preshan ho gaya.

Apna sir pakarty huwy “ye may nay kia kia ohh god, ab may kia kron “ or phr rimsha ko mcg pay mcg leave kiye 
Salman: I m sorry rimsha mujh se galti hoi gai yar really sorry…plz aik bar bat kr lo.

Salman fresh ho kar chala gaya or apna birthday apni family k sath celebrate kia lakin rimsha k liye usay musalsal guilty feel ho rahi thi. Wo usay naraz kar k khud bhi baychain ho gaya, bar bar usi ka khayal or us ka rat bhar intizar krna or phr badlay may us k sath misbehave ye sab soch kr wo highly distrb ho gaya.

Us nay kai bar rimsha ko phone kia lakin rimsha ka no musalsal off raha. Bad may us nay maryum ko bhi phone kia or usay bhi mcg kiye but dono ka koi jawab nahi aya.

Din guzarty gaye lakin rimsha say us ki koi bat na ho saki or na hi us ka koi mcg aya…salman ko rimsha ki ghair mujoodgi na gawar lagnay lagi or wo us ki kami ko shiddat say mahsoos krnay laga. Rat gaye tak frnds may rahna chit chat krna lakin phr bhi us k dil say rimsha ki yad na gai ,usay laga k ab rimsha us say kbhi bat nahi kre gi, ye soch kr us ka or bhi baychain ho jana ye sab salman ko ahsaas dila gaya k wo bhi rimsha say piyar krta ha...

Koi din aisa na guzra jab us nay rimsha ko phone na kia ho lakin us k jawab na anay par trah trah k khayal “wo thk to hogi ,kahin us nay apnay sath…pagal si ha kuch bhi kr sakti ha, jab pata tha to danta hi kiun tha, lakin ab tak ayi kiun nahi "…..

Udhar rimsha ki musalsal khamoshi us k ghar walon ko preshan kr ri thi. Aik din maryum us k ghar ayi or zabrdasti us k ghar walon ki ejazat say shoping k  bahanay usay bahir lay gai. Rastay may hi maryum k pas salman ka bar bar phone anay laga, wo bhi maryum ka no on deikh kr musalsal krnay laga.

Market may enter hoty huwy maryum nay rimsha ko janay k liye bola” tm chalo may garhi se apna baig lay kr ati hon” rimsha nay han may sir hila diya or chaili gai.

Maryum ny salman ka phone attend kia or ghusay se boli “what’s ur problem ab kia chahty ho kuch or kahna baqi rah gaya ha kia.”

Salman nay bht preshani may bola “sirf aik bar rimsha say bat krwa do plz wada krta hon agr wo mujh se bat nahi krna chahy gi to dobara kbhi nahi distrb kron ga”.

Maryum us k esrar par man to gai lakin thori distrb hoi or rimsha k pas gai phone usay dety huwy boli "salman ka phone ha tm say bat krna chahta ha", rimsha nay inkar kia to maryum nay ghusay se bola “usay apni galti ki mafi to mangni hi chahiye bat kro us say".

Rimsha nay jab salman se bat ki to salman nay us ki koi bhi bat sunay baghair jo dill may aya bolta chala gaya “rimsha I m really sorry mujhy tmhray sath aisa nahi krna chahiye tha, tmhry  janay k bad ahsaas huwa k may tmhray baghair nahi rah sakta, koi din aisa nahi guzra jis may tmhri kami mahsoos na ki ho, aik pal ko  bhi chain ni mila, I love u rimsha, bht heart kia ha may nay tmhy, I m really sorry ...tm say door huwa to khud bhi jan gaya hon k tm hemasha meray liye itna importat kiun rahi ho.

Rimsha ki ankhain anso se num honay lagi or dil ki dharkan nay jaisy phr se dharakna shuro kr diya ho. usay samjh hi nahi a raha tha k kia bolay, salman ko us say piyar ha …jisay wo sirf sapna hi samjhti thi, aj wo izhare mohabat kar raha ha…usay sab khuab sa laga…
Us ki khamoshi par salman nay jawab diya” may tmhray jawab ka intizar kr raha hon rimsha”.

Rimsha roty huwy or bachon walay andaz may boli” may bhi krti hon tm say”.
Salman us k andaz par muskuraya or bola “anso saf kro apnay kiun ab mera khud se wada ha kuch bhi ho jaye tmhri ankhain kbhi num nahi honay donga”. Rimsha ka chahra khushi say khil utha.
Dono nay aik dosray k wajood ko bht qareeb say mahsoos kia, jaisy aik dosray k samnay hon.

Kbhi Na Hathon Say Hath Choote KhayaL Rakhna
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna 
Bachaa K Rakhnaa  Mohabbat Ko Saazishon Say
Wafa Ki Dollat Jafa Na Lootay KhayaL Rakhna.....

-----------------

                                                


                                       
                                  

Sunday 1 September 2013

Tum Hum Ko Yad Rakhna

Tum hum ko yad rakhna

Episode No 3




Do din baad salman ki birthday thi or rimsha usay sab se pehly wish krnay k liye bht excited thi or bht baychaini se us ki birthday ka intizar krnay lagi or sath hi kuch gift bhi khariday ye soch kr k kbhi mili to usay day gi.
 Dosri traf salman k frnds us k liye kisi achi jaga par party arrange krnay walay thy lakin salman ko apna birthday yad nahi tha. Or rimsha ki wish thi k wohi sab se pehly wish kre. Jab12 bajnay may kuch hi time rah gaya tha, rimsha online ayi but salman online nahi tha. Salman k frnds usay zabrdasti us k ghar se apni arrange krda party may lay gaye thy jahan bht se larkay or larkian us k intizar may thay

Salman shocked huwa or apnay frnds k sath party enjoy krnay laga us k mama papa or family sab ki wishes anay lagi but party k doran us ko apnay cell ka khayal hi nahi raha or music ki waja se cell ki awaz tak nahi sun saka.

Udhar rimsha facebook par mcg pay mcg kiye ja ri thi
Rimsha: Happy Birthday Salman ……….kahan ho or din to online rahtay ho aj kahan ho? Kahin tm larkiun ki party may to nahi ho zaror tmhari frnds nay party arrange ki hogi or tm zaror chalay bhi gaye hogy .lakin koi bat nahi aj hm bhi tmhara intizar krain gy

 Churao Nazrain..Churrao Daman
  BadaL k Rassta Barhao uljhan
 Tumhain duaon say phir bhi ham nay
      Jo pa liya ..to kiyaa kAro Gaye...

rimsha nay salman ko phone kia but no response adhi se ziada rat guzar gai thi but na to wo online aya or na rimsha ko phone pay koi ans kia or us k intizar may rimsha ki ankh lag gai wo pc par hi so gai thi…

Udhr salman party may apny frnds k sath ayi aik decent si larki k sath dance krnay ki koshish may tha jis ka hath pakrnay par salman ko thapar ka samna krna para , jis par party may aik dam say khamoshi cha gai salman ko shadeed ghusa aya or us larki pay chilanay laga k us k frnds nay usay control kia. Lakin salman nay ghusay may apna cell liya or garhi ki chaabi uthaty huwy bht buri driving k sath ghar poncha.jahan us k ghar walay wish krnay k liye baithay thy or salman sab kuch ignore krta huwa  apnay room may chala gaya.

Salman k papa hairan hoty huwy “aik to sahab bahadur bina btaye pta ni kahan chalay gaya tha or wapas aya  bhi to hm logon ko wish krnay ka moqa hi nahi diya.”

Rimsha ki ankh khuli to time deikha to rat kafi ho gai thi 3 baj rehe thay pc par deikha to salman ka koi mcg nahi thaw o thori preshan ho gai. Rimsha sochty huwy “ salman pata ni aj kahan ha aisa to kbhi nahi huwa k wo online na aye larkiun say bat kiye bina to us ka guzara nahi hota or aj to phr sab churailon nay usay wish krna tha” or phr rimsha nay phone kr diya …

Salman nay ghusay say phone uthaya or rimsha k pochnay par “kahan ho tm ? kab se phone kr ri hon or kab se tmhra intizar…….”or bharak utha or us ki bat pori honay say pehly start ho gaya or sara ghusa rimsha par nikal diya ye kahty huwy
“what’s ur problem masla kia ha tmhra jhahanum may hon may ,or han meray pas fazool time nahi ha k tmhray kisi fazool sawalon  ka jawab deta rehon , go to hell “ phone ghusay se band krty huwy side par phaink diya

 jawab may rimsha kuch kah hi nahi pai ,bilkul khamosh ankhon may ansoun ki dhar liye phone bhi us k hath se choot gaya , usay yaqeen hi nahi aya k salman  nay us k liye aisa bola pori rat wish krnay k liye baithi rahi sirf es liye k wo us say piyar krti ha or sab se pehly wish krna chahti ha or salman nay  us ki feeling ki dhajiaan bikhair di….

Rimsha k demagh may na sirf sawal hi sawal thy balkay ab wo khud ko sanbhal nahi pa rahi thi ,roty huwy apnay bed par lait gai , salman k lafz chubnay lagy or kanno may goonjtay sunai detay .
Rimsha rotay huwy or khud se batain krty huwy” maryum thk kahti ha mujhy tm par itna trust nahi krna chahiye tha , tm say itni omeedain wabasta nahi karni chaiye thi, pagal thi may jo tm say piyar krnay lagi kiun kia may nay aisa…….”

      Uski ankhon main mohabat ka sitara ho ga
   Ek din aye ga wo shakhs hamara ho ga
Zindagi ab k mera nam na shamil karna
    Gar ye tah hai k yehi khaill dubara ho ga...

-----------------